My Domain.... my ideas..... my thoughts...... ME!!

This is my page..... All about me (the 1st post).... my ideas, my thoughts..... what i think, what i like, what i don't like..... etc... Comments are most welcome!! :)

Name:
Location: Noida, Uttar Pradesh, India

hmm... this is a toughie to answer, bcoz i feel i am a complicated fella whom others find it hard to understand, so i think its better u get to know me urself... i am a friendly, gentle and jovial person :) :) who takes life as it comes and believes in 'living in the moment' and not worrying too much about the future.... My passions include reading, writing, analysing problems & counselling and music.


Request to all my viewers: Please add comments and sign my guestbook

Sunday, March 19, 2006

Kuch Panktiyan........

kalam uthaya hua hai magar lafj nahi milta,
jisko dhund rahe hai wo sakhs nahi milta
firte hai hamesha wo jamane ki talash me
bas hamare liye hi unhe waqt nahi milta
-------------------------------------------------------
shaam udaas hai, raat bhi udaas hogi,
subah kafan mein liptee meri laash hogi,
aye mujhe dafnanewale jakar unse keh dena
KABAR par bhi unki tasveer mere saath hogi....
--------------------------------------
------------------
Teri har adaa qayaamat se kam nahi
jis dil me basey woh shole se kam nahi

Aaj bhi mohabbat ke woh din yaad hai
teri bahon me do pal khoye bina koi shaam nahi

bichad gayi tu par simat gayi yaadein teri
karun tujhe yaad har pal mera aur koi kaam nahi

jee rahe hai be-sabab yaar maikade mein
gham ko khushi me badal sake aisa koi jaam nahi

main nahi akela tanhaa saara zamaana hai
aahen bhartey hai chup chup kar jinka koi naam nahi

kehtey hai log hua yeh afsana purana
waqt ki nazaakat hai koi ilzaam nahi
-------------------------------------------------------
chalte chalte do musafir mil jate hai,
baton baton mein woh rahi ban jate hai.
do rooh ka milan toh rab karate hai,
par rishte unse samjhauta he karate hai.

jeene ke liye toh ek rahi hi kafe hai,
jo har saans tak saath nibhate hai,
bewafa to woh (jeevan)saathi hai,
jo matlaab nilkte hi haath chhod jate hai.
--------------------------------------------------------
Garmi-ae-hasratein nakaam se jal jaate hain
hum charagon ki tarah shaam se jal jaate hain
shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye
hum usi aag mein gum naam se jal jaate hain
jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyun log mere naam se jal jaate hain

0 Comments:

Post a Comment

<< Home